hello everyone
Mai bhagwaan me bahut vishwas rakhti hu isliye jab bhi kuvh hota hai toh unki marzi maan ke khud ko shant kar deti hoon.
Sochti hu kii mere karmo ka fal hoga… Aaj bura hai kal acha hoga.
Par apne hi samne galat karne walo ko jab khush dekhti hoon toh kabhi kabhi khyal aata hai kii shayad karma kuch nahi hota…. Qkii jo log continuously galat kar rahe hai, unhe toh zindagi dono hatho se khushiya de rahi hai… Wo log bhagwan ka anadar bhi kar rahe h samne se and apne ghar ki bahu yani mujhe pareshaan bhi kar rahe hai..
Mansik tor par mujhe torture kiya jata hai… Emotionally blackmail kiya jata hai.
Maine is forum me apni problems discuss kari and ye paya kii mera tym aabhi sahi nahi chal raha toh socha kii abhi kuch aur time ruk jau… Thode time me sahi ho jayega.
Magar ye samajh nh pa rahi kii jo log itne saalo se fakat kar rahe hai.. Unki apni family me kisi se nahi bani.. Kisi ke sath ache nahi hai… Bhagwan and karma unhe fal kyu nahi de rahe.. Galat chizo kq.
Kya karma sirf wahi work karta hai jo sahi karte hai.
Galat logo ke sath acha hi hota hai hameshaa.. Aise tov sabhi ka karma se vishwas uth jayegaa aur log gakat hi karenge.
Aur agar fal agle janam me millna hai toh na toh karne wale ko pta hoga na sahne wale ko tassali hogi.
<p style=”text-align: right;”>Kya koi muhje btana chahega.. How it works</p>